Ab toh tum meri ho pr kaash thoda phle ban jaati, pehla pyar tumhe kehta hun apna kaash tum bhi ye keh paati
Pyar kya bala hai tumse milke jaana hai maine, tumhare aansuo ko apne aansoo aur tumhari khusi ko apni khusi maana hai maine
Shyd jahan nafrat ho wahiin pyar ki sachi keemat hoti hai, lekin khudke liye tumhari nafratein yaad aayein toh ye aankhein nam hoti hain
Tu nafrat failaati rahi aur main pyar talaasta raha, is mohabbat ki manzil ka mera toh yahi rasta raha
Aaj kitna bhi pyar kar loon tumhe toh wo tumhari purani nafrat se sehem jaata hun, shyd isi darr se main itna pyar jatata hun.