Andhere se dosti karne laga hun ab,
Sapno mein madhosh raatein gujra karti thi kabhi,
Hosh mein sapne dekhne laga hun ab ||
Pankhe ki khatar patar se jaise ab naata sa ho gaya hai,
Andhera bhi ab hum- humsaya sa ho gya hai,
Chand ki chandini kehti hai kahan tha tu ab tak,
Aur takiya kehta hai ab toh tu paraya sa ho gaya hai ||
Kaali raat ke shaant vatavaran mein chipe us shaant shor ko pehchaan ne laga hun,
Tim tim karte taare aur jugnuon ko bhi ab pehchaan ne laga hun,
Sochta hun koi toh hoga mere jaisa bhi, jo bhi abhi is shaant shor ko mehsoos krra hoga,
Us anjaan ko bhi mann hi mann mein humsafar maan ne laga hun ||
Ae raat tu khoobsurat toh bhuut hai aur tu sukoon bhi bhuut deti hai,
Par mere is bechain mann mein tu hamesa hazaron vicharo ko janm deti hai,
Kho jaane de mujhe neend mein meri, rakh Apni sundarta aur shaanti ko apne pass,
Aur dhoondle apna humsafar doosra koi jo rahe hmesa tera khaas ||
Nice brother 💟
ReplyDelete